उस की याद आई है साँसो ज़रा
उस की याद आई है साँसो ज़रा आहिस्ता चलो, धड़कनों से भी इबादत में ख़लल पड़ता है।
Uski yaad aayi hai saanson zara aahista chalo, Dhadkanon se bhi ibaadat mein khalal padta hai.
Adab ki ek chhoti-si mehfil
Mashhoor shayaron ke chuninda sher. Hindi aur Hinglish mein, aapke dil ke qareeb.
हज़ारों ख़्वाहिशें ऐसी कि हर ख़्वाहिश पे दम निकले, बहुत निकले मिरे अरमान लेकिन फिर भी कम निकले।
Hazaaron khwahishein aisi ki har khwahish pe dam nikle, Bahut nikle mire armaan lekin phir bhi kam nikle.
Har ehsaas ko ek awaaz
उस की याद आई है साँसो ज़रा आहिस्ता चलो, धड़कनों से भी इबादत में ख़लल पड़ता है।
Uski yaad aayi hai saanson zara aahista chalo, Dhadkanon se bhi ibaadat mein khalal padta hai.
ये इश्क़ नहीं आसाँ इतना ही समझ लीजे, इक आग का दरिया है और डूब के जाना है।
Ye ishq nahin aasaan itna hi samajh leeje, Ik aag ka dariya hai aur doob ke jaana hai.
रंजिश ही सही दिल ही दुखाने के लिए आ, आ फिर से मुझे छोड़ के जाने के लिए आ।
Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa, Aa phir se mujhe chhod ke jaane ke liye aa.
वो तो ख़ुश-बू है हवाओं में बिखर जाएगा, मसअला फूल का है फूल किधर जाएगा।
Wo to khushboo hai hawaon mein bikhar jayega, Mas'ala phool ka hai phool kidhar jayega.
धूप में निकलो घटाओं में नहा कर देखो, ज़िंदगी क्या है किताबों को हटा कर देखो।
Dhoop mein niklo ghataon mein naha kar dekho, Zindagi kya hai kitaabon ko hata kar dekho.
ख़ुदी को कर बुलंद इतना कि हर तक़दीर से पहले, ख़ुदा बंदे से ख़ुद पूछे बता तेरी रज़ा क्या है।
Khudi ko kar buland itna ki har taqdeer se pehle, Khuda bande se khud poochhe bata teri raza kya hai.
ख़ुदी: अपने व्यक्तित्व और आत्मबोध की शक्ति। रज़ा: इच्छा।
जग में आ कर इधर उधर देखा, तू ही आया नज़र जिधर देखा।
Jag mein aakar idhar udhar dekha, Tu hi aaya nazar jidhar dekha.
पोथी पढ़ि-पढ़ि जग मुवा, पंडित भया न कोइ, एकै आखर प्रेम का, पढ़ै सो पंडित होइ॥
Pothi padhi-padhi jag muwa, pandit bhaya na koi, Ekai aakhar prem ka, padhai so pandit hoi.
मैं अकेला ही चला था जानिब-ए-मंज़िल मगर, लोग साथ आते गए और कारवाँ बनता गया।
Main akela hi chala tha jaanib-e-manzil magar, Log saath aate gaye aur kaarwaan banta gaya.
शाम से आँख में नमी सी है, आज फिर आप की कमी सी है।
Shaam se aankh mein nami si hai, Aaj phir aapki kami si hai.
अब नहीं कोई बात ख़तरे की, अब सभी को सभी से ख़तरा है।
Ab nahi koi baat khatre ki, Ab sabhi ko sabhi se khatra hai.
अपने चेहरे से जो ज़ाहिर है छुपाएँ कैसे, तेरी मर्ज़ी के मुताबिक़ नज़र आएँ कैसे।
Apne chehre se jo zaahir hai chhupayein kaise, Teri marzi ke mutaabiq nazar aayein kaise.
Ek pankti par thehriye. Hindi ya Hinglish mein padhiye. Dil ko chhoo jaaye to kisi apne se baantiye.
Aapka man, aapki mehfil
Mohabbat ke woh alfaaz jo dil mein reh jaate hain. Ghalib, Faraz, Jigar aur doosre shayaron ke chuninda sher.
Shayari padheinAdhoori mohabbat, tootti ummeed aur dil ki khamoshi. Mir, Faraz, Parveen Shakir aur doosre shayaron ke alfaaz.
Shayari padheinDosti se ummeed bhi hoti hai aur kabhi shikaayat bhi. Saath, hamdardi aur rishton ki samajh ke sher.
Shayari padheinKhwahishein, insaaniyat aur duniya ko dekhne ka nazariya. Zindagi ki gehraai, do panktiyon mein.
Shayari padheinApni pehchaan, apni awaaz aur apne hone par bharosa. Iqbal, Rahat Indori aur doosre shayaron ka bebaak andaaz.
Shayari padheinSitaaron se aage bhi raaste hain. Iqbal, Dushyant Kumar aur doosre shayaron ke hausle, ummeed aur koshish ke alfaaz.
Shayari padheinKuch log door hokar bhi dil ke paas rehte hain. Yaad, intezaar aur tanhaai ke chuninda sher.
Shayari padheinGhalib ki haazirjawaabi aur Akbar Allahabadi ka tanz. Muskuraane ki ek wajah, sochne ki ek baat.
Shayari padheinRooh ki baat, prem ki talaash aur apne bheetar ka ujaala. Mir Dard, Khusro, Iqbal aur Kabir ke alfaaz, Hindi aur Hinglish mein.
Shayari padhein